koī  shai  nahīñ  yahāñ  mustaqil  ye  ajab  yahāñ  kā  nizām  hai
kabhī  dhuup  hai  kabhī  chhāñv  hai  kabhī  sub.h  hai  kabhī  shaam  hai
vo  jafā  kareñ  to  jafā  kareñ  maiñ  vafā  se  baaz  na  ā.ūñgā
unheñ  apne  kaam  se  kaam  hai  mujhe  apne  kaam  se  kaam  hai
jo  hamārī  nazreñ  na  pā  sakeñ  to  hamārī  nazroñ  kī  hai  ḳhatā
tirā  jalva  pahle  bhī  aam  thā  tirā  jalva  aaj  bhī  aam  hai
ye  miTā  chukī  mirī  zindagī  to  karam  se  apne  sañvār  de
vo  mirī  nigāh  kā  kaam  thā  ye  tirī  nigāh  kā  kaam  hai
vo  haram  ho  yā  ki  ho  but-kada  ki  vo  sañg-e-dar  ho  habīb  kā
jahāñ  terī  yaad  na  aa  sake  vahāñ  sajda  karnā  harām  hai
ye  ḳhabar  hai  ziist  kā  kārvāñ  rah-e-ishq  meñ  hai  ravāñ-davāñ
magar  us  kī  koī  ḳhabar  nahīñ  ki  safar  kahāñ  pe  tamām  hai
use  zindagī  kā  laqab  diyā  ki  jo  ek  ḳhvāb-e-fareb  hai
use  maut  kahtā  hai  be-ḳhabar  ki  jo  zindagī  kā  payām  hai
nahīñ  kāmyāb  amal  agar  tū  adam  meñ  ho  ki  vajūd  meñ
na  yahī  sukūñ  kā  maqām  hai  na  vahī  sukūñ  kā  maqām  hai