banā  ke  ik  na.ī  manzil  guzar  ga.e  hote
jidhar  koī  nahīñ  jaatā  udhar  ga.e  hote
pa.e  sukūñ  na  agar  ham  Thahar  ga.e  hote
to  aaj  tā-had-e-shams-o-qamar  ga.e  hote
ġham-e-hayāt  se  ham  bhī  jo  Dar  ga.e  hote
to  qaid-e-zīst  meñ  rah  ke  bhī  mar  ga.e  hote
jo  mai-kade  meñ  zarā  tum  Thahar  ga.e  hote
nazar  ke  zor  se  paimāne  bhar  ga.e  hote
na  lafz  gul  ko  samajhte  na  ḳhaar  ke  ma.anī
bachā  bachā  ke  jo  dāman  guzar  ga.e  hote
maiñ  bevafā  huuñ  to  vo  kyuuñ  nazar  churā  ke  ga.e
zarā  milā  ke  nazar  se  nazar  ga.e  hote
nasīm-e-sub.h  ke  jhoñke  mirī  taraf  kyuuñ  aa.e
jahāñ  bahār  hai  gul  haiñ  udhar  ga.e  hote
batātā  kaun  nasheb-o-farāz-e-rāh-e-hayāt
jo  sab  kī  tarah  se  ham  bhī  guzar  ga.e  hote
bahāna  chāhiye  gulshan  meñ  Darne  vāloñ  ko
na  ḳhaar  hote  to  phūloñ  se  Dar  ga.e  hote
maiñ  aur  kuchh  nahīñ  kahtā  magar  chaman  vaalo
bahār  aatī  to  gulshan  sañvar  ga.e  hote
jo  ittihād  kī  manzil  pe  hote  ham  'shārib'
taġhayyurāt  ke  chehre  utar  ga.e  hote