gulshan  meñ  baḌe  zor  kā  tūfān  uThā  hai
jab  bhī  koī  phūloñ  kā  nigahbān  uThā  hai
duniyā  ke  badalne  kā  farishte  nahīñ  aa.e
jab  jab  bhī  uThā  hai  koī  insān  uThā  hai
siine  ke  liye  dāman-e-gul  fasl-e-ḳhizāñ  meñ
har  baar  koī  chāk-garebāñ  uThā  hai
maiñ  is  ke  sivā  kuchh  nahīñ  kahtā  mire  saaqī
'shārib'  tirī  mahfil  se  pashemān  uThā  hai