mohabbat  haT  rahī  hai  darmiyāñ  se
zamīñ  Takrā  na  jaa.e  āsmāñ  se
vo  manzil  saḳht  hai  har  imtihāñ  se
mohabbat  ruḳh  badaltī  hai  jahāñ  se
hazāroñ  māh-o-anjum  haiñ  tah-e-ḳhāk
zamīñ  kuchh  kam  nahīñ  hai  āsmāñ  se
munavvar  haiñ  abhī  tak  vo  maqāmāt
maiñ  tere  saath  guzrā  huuñ  jahāñ  se
zamīñ  kī  pastiyoñ  meñ  kho  ga.e  haiñ
zamīñ  Takrāne  vaale  āsmāñ  se
mirī  āñkhoñ  meñ  aañsū  to  bahut  haiñ
magar  dāman  tirā  lā.ūñ  kahāñ  se
zamīñ  kī  ḳhaak  tak  de  dī  zamīñ  ko
maiñ  dāman  jhaaḌ  ke  uTThā  jahāñ  se
maqām-e-āshiyāñ  kī  justujū  meñ
guzar  jā  bijliyoñ  ke  darmiyāñ  se
musalsal  imtihāñ  hai  zindagānī
kahīñ  ghabrā  na  jaanā  imtihāñ  se
banānā  hai  mujhe  ḳhud  apnī  manzil
alag  huuñ  naqsh-pā-e-kārvāñ  se
vahī  duniyā  ulaT  dete  haiñ  'shārib'
jo  aksar  kuchh  nahīñ  kahte  zabāñ  se