ḳhulūs-e-sajda  har  ik  haal  meñ  muqaddam  hai
vahīñ  pe  dil  bhī  jhukā  de  jahāñ  jabīñ  ḳham  hai
hazār  jalvoñ  se  pur-nūr  bazm-e-ālam  hai
magar  charāġh-e-mohabbat  kī  raushnī  kam  hai
hamāre  hāl-e-pareshāñ  pe  muskurā  denā
baḌā  latīf  ye  andāz-e-pursish-e-ġham  hai
hayāt-e-ishq  umīdoñ  pe  kāTne  vaalo
ḳhabar  bhī  hai  ki  umīdoñ  kī  zindagī  kam  hai
qafas  meñ  the  to  chaman  ke  liye  taḌapte  the
chaman  meñ  aa.e  to  ahl-e-chaman  kā  mātam  hai
bashar  ke  dar  pe  jabīn-e-bashar  kā  jhuk  jaanā
qasam  ḳhudā  kī  ye  tauhīn-e-ibn-e-ādam  hai
vo  dil  churā  ke  nigāhoñ  se  chhup  ga.e  'shārib'
nigāh-o-dil  se  magar  fāsla  bahut  kam  hai