mujhe  utnī  hī  qadr-e-zindagānī  hotī  jaatī  hai
kisī  kī  jitnī  mujh  par  mehrbānī  hotī  jaatī  hai
ḳhudā  ma.alūm  ye  kaisā  zamāna  aatā  jaatā  hai
ki  har  har  saañs  ab  to  imtihānī  hotī  jaatī  hai
mohabbat  karne  vaalā  sū-e-manzil  baḌhtā  jaatā  hai
jo  mushkil  aatī  jaatī  hai  vo  paanī  hotī  jaatī  hai
jidhar  jaao  musībat  hai  jidhar  dekho  musībat  hai
musībat  ab  to  juzv-e-zindagānī  hotī  jaatī  hai
ḳhudā  kā  shukr  dil  rāh-e-vafā  meñ  miTtā  jaatā  hai
jo  faanī  chiiz  hai  vo  jāvedānī  hotī  jaatī  hai
ham  apnā  daur-e-māzī  bhūlte  jaate  haiñ  ai  'shārib'
qayāmat  hai  haqīqat  bhī  kahānī  hotī  jaatī  hai