dil  meñ  sau  ārmān  rakhtā  huuñ
pyāre  āḳhir  maiñ  jaan  rakhtā  huuñ
vāh-rī  aql  tujh  se  dushman  se
dostī  kā  gumān  rakhtā  huuñ
sabr  chhuT  dil  sab  aur  bātoñ  maiñ
qābil-e-imtihān  rakhtā  huuñ
aah  tere  bhī  dhyān  meñ  kuchh  hai
kis  qadar  terā  dhyān  rakhtā  huuñ
tujh  se  har  baar  mil  ke  maiñ  be-sabr
na  malūñ  phir  ye  Thaan  rakhtā  huuñ
sirf  maiñ  to  'asar'  bisān-e-jaras
āh-o-nāla  bayān  rakhtā  huuñ