na  barq  na  sho.ala  ne  sharar  huuñ
jo  kahiye  so  qissa  muḳhtasar  huuñ
juuñ  aks  merā  kahāñ  Thikānā
tere  jalve  se  jalva-gar  huuñ
ai  naqsh-e-qadam  rah-e-fanā  meñ
maiñ  tujh  se  Tuk  ek  peshtar  huuñ
ye  ḳhair  hai  ḳhair-e-mahz  hai  to
banda  ganda  jo  maiñ  bashar  huuñ
ma.alūm  huī  na  kuchh  haqīqat
maiñ  kyā  huuñ  kaun  huuñ  kidhar  huuñ
ai  umr-e-ba-bād-e-rafta  le  chal
maiñ  bhī  tere  hī  ham-safar  huuñ
juuñ  sho.ala  miyān-e-be-qarārī
qaa.em  apne  qarār  par  huuñ
huuñ  nāla-e-nā-rasā  va-lekin
apne  haq  meñ  to  kārgar  huuñ
aate  haiñ  nazar  sabhī  hunar-mand
maiñ  hī  ek  saaf  be-hunar  huuñ
huuñ  tīr-e-balā  kā  maiñ  nishānā
shamshīr-e-jafā  kā  maiñ  sipar  huuñ
lenā  mirī  ḳhair-ḳhabar  to  ḳhair  dilā
ġhāfil  huuñ  nipaT  hī  be-ḳhabar  huuñ
bhūle  bhī  kabhū  na  yaad  karnā
bār-e-ḳhātir  maiñ  is  qadar  huuñ
huuñ  laġhv  maiñ  aap  apnī  zātoñ
auroñ  kā  naf.a  ne  zarar  huuñ
tere  dāman  se  lag  rahā  huuñ
apnī  tar-dāmanī  se  tar  huuñ
dard  kī  zāt-e-pāk  kā  hai
go  ain  nahīñ  vale  'asar'  huuñ