ham  haiñ  be-dil  dil  apne  paas  nahīñ
aah  is  kā  bhī  tujh  ko  paas  nahīñ
bevafā  kuchh  nahīñ  tirī  taqsīr
mujh  ko  merī  vafā  hī  raas  nahīñ
qatl  merā  hai  terī  bad-nāmī
jaan  kā  varna  kuchh  hirās  nahīñ
tū  hī  behtar  hai  ham  se  ā.īne
ham  to  itne  bhī  rū-shanās  nahīñ
yuuñ  ḳhudā  kī  ḳhudā.ī  bar-haq  hai
par  'asar'  kī  hameñ  to  aas  nahīñ