'asar'  ab  tak  fareb  khātā  hai
terī  bātoñ  ko  maan  jaatā  hai
dil  kaḌā  kar  ke  tujh  se  kuchh  to  kahūñ
jī  meñ  sau  baar  ye  hī  aatā  hai
ḳhush  guzartī  nahīñ  hai  koī  aan
ishtiyāq  ab  nipaT  satātā  hai
dil  ko  va.ade  se  kal  nahīñ  hotī
roz  tū  āj-kal  batātā  hai
but-e-kāfir  kī  be-muravvatiyāñ
ye  hameñ  sab  ḳhudā  dikhātā  hai
dil  mirā  tū  ne  hī  churāyā  hai
nahīñ  yuuñ  nazreñ  kyuuñ  churātā  hai
maiñ  bhī  nāseh  use  samajhtā  huuñ
go  burā  hai  pa  mujh  ko  bhātā  hai
tere  dar  par  maiñ  kab  kab  aatā  huuñ
dil  mujhe  baar  baar  laatā  hai
nāla-o-āh  ko  mire  sun  kar
kahte  ho  yaañ  kise  sunātā  hai
roz-o-shab  kis  tarah  basar  maiñ  karūñ
ġham  tirā  ab  to  jī  hī  khātā  hai
dil-e-nā-qadr-dāñ  ye  gauhar-e-ashk
nit  yūñhī  ḳhaak  meñ  milātā  hai
jī  hī  jaatā  hai  dam-ba-dam  merā
tujh  ko  bāvar  nahīñ  ye  aatā  hai
sham.a-rū  dil  ye  misl-e-parvāna
nāhaq  apne  ta.iiñ  jalātā  hai
terī  in  sho.ala-ḳhūyoñ  ke  huzūr
be-tarah  tujh  pe  jī  jalātā  hai
kyā  karūñ  aah  maiñ  'asar'  kā  ilaaj
is  ghaḌī  us  kā  jī  hī  jaatā  hai