Akhtar Hoshiyarpuri

sham tanhai dhuan uThta barabar dekhte

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
shaam tanhā.ī dhuāñ uThtā barābar dekhte
phir sar-e-shab chāñd ubharne kā bhī manzar dekhte
jumbish-e-lab meñ mirī āvāz kī tasvīr hai
kaash vo bhī bolte lafzoñ ke paikar dekhte
sāhiloñ par sīpiyāñ thiiñ aur havā kā shor thā
pāniyoñ meñ Dūbte to koī gauhar dekhte
khiḌkiyoñ kī oT se andāza ho saktā nahīñ
shahr kā ahvāl tum ghar se nikal kar dekhte
aane vāloñ ke liye darvāze rahte haiñ khule
jaane vaale bhī kabhī muḌ kar sū-e-dar dekhte
bārishoñ meñ bhīgnā jismoñ kā ujlā bāñkpan
rāstoñ kī gard bhī ye log sar par dekhte
vo jinheñ dastār kī hasrat rahī hai umr bhar
mere shānoñ par kabhī 'aḳhtar' mirā sar dekhte
Top Urdushayar.com