ḳhafā  us  se  kyuuñ  tū  mirī  jaan  hai
'asar'  to  koī  dam  kā  mehmān  hai
tere  ahd  meñ  saḳht  andher  hai
ki  ishq  o  havas  har  do  yaksān  hai
kahūñ  kyā  ḳhudā  jāntā  hai  sanam
mohabbat  tirī  apnā  īmān  hai
dil-o-ġham  meñ  aur  sīna-o-dāġh  meñ
rifāqat  kā  yaañ  ahd-o-paimān  hai
tujhe  bhī  kabhū  kuchh  mirā  hai  ḳhayāl
mujhe  marte  marte  tirā  dhyān  hai
na  dekhā  phir  āḳhir  ki  mushkil  paḌī
udhar  dekhnā  aisā  āsān  hai
qayāmat  yahī  hai  ki  abrū  kamāñ
tujhe  jin  ne  dekhā  so  qurbān  hai
guloñ  kī  tarah  chaak  kā  ai  bahār
muhayyā  har  ik  yaañ  garebān  hai
bhalā  diid  kar  lījiye  muft  hai
ki  ab  tak  sitamgar  vo  anjān  hai
mujhe  qatl  karte  to  uuneñ  kyā
par  apne  kiye  par  pashemān  hai
nahīñ  hai  ye  qātil  taġhāful  kā  vaqt
ḳhabar  le  ki  baaqī  abhī  jaan  hai
ta.ammul  kahāñ  varna  chuuñ  ġhuncha  yaañ
jo  sar  hai  so  ġharq-e-garebān  hai
ye  kyā  ho  gayā  dekhte  dekhte
'asar'  maiñ  to  maiñ  vo  bhī  hairān  hai