Meer Asar

main tujhe wah kya tamasha hai

Meer Asar

Delhi, India

-1795

maiñ tujhe vaah kyā tamāshā hai

zehn meñ āshnā tarāshā hai

haath meñ rakhiyo sambhāle hue

dil to merā ye sīshā-bāshā hai

jo tole hai mere man chaah

kuchh tire haañ bhī tolā-māsha hai

kyā kahūñ terī kāvish-e-mizha ne

kis tarah se jigar ḳharāshā hai

ḳhair guzre 'asar' hai bebāk

aur vo shoḳh be-tahāshā hai

Top Urdushayar.com