naala  karnā  ki  aah  karnā
dil  meñ  'asar'  us  ke  raah  karnā
kuchh  ḳhuub  nahīñ  ye  terī  bāteñ
har-chand  mujhe  nibāh  karnā
terā  vo  jaur  ye  mirā  sabr
insāf  se  Tuk  nigāh  karnā
kyā  lutf  hai  le  ke  dil  mukarnā
aur  ulTe  mujhe  gavāh  karnā
rahmat  ke  huzūr  be-gunāhī
mat  shaiḳh  ko  rū-siyāh  karnā
jī  ab  ke  bachā  ḳhudā  ḳhudā  kar
phir  aur  butoñ  kī  chaah  karnā
kyā  kahiye  'asar'  to  aap  Tuk  dekh
yuuñ  haal  apnā  tabāh  karnā