ham  ġhalat  ehtimāl  rakhte  the
tujh  se  kyā  kyā  ḳhayāl  rakhte  the
na  sunā  tū  ne  kyā  kaheñ  zālim
varna  ham  arz-e-hāl  rakhte  the
na  rahā  intizār  bhī  ai  yaas
ham  umīd-e-visāl  rakhte  the
jauhar-e-ā.īna  niiñ  dikhlāyā
sāda-rū  jo  kamāl  rakhte  the
na  sunā  thā  kisū  ne  ye  to  ġhurūr
sabhī  dilbar  jamāl  rakhte  the
aah  vo  din  ga.e  ki  ham  bhī  'asar'
dil  ko  apne  sambhāl  rakhte  the