na  lagā  le  ga.e  jahāñ  dil  ko
aah  le  jā.iye  kahāñ  dil  ko
mujh  se  le  to  chale  ho  dekho  par
toḌiyo  mat  kahīñ  miyāñ  dil  ko
aazmā  aur  jis  meñ  chāhe  tū
sabr  meñ  kar  na  imtihāñ  dil  ko
yuuñ  to  kyā  baat  hai  tirī  lekin
vo  na  niklā  jo  thā  gumāñ  dil  ko
rakh  na  tū  ab  dareġh  nīm-nigāh
maar  mat  dekh  nīm-jāñ  dil  ko
aah  kyā  kiije  yaañ  banāyā  hai
dil-girafta  hī  ġhuncha  saañ  dil  ko
mar  gayā  pis  gayā  na  kī  par  aah
āfrīñ  aise  be-zabāñ  dil  ko
dushmanī  tū  hī  is  se  kartā  hai
dost  rakhtā  hai  ik  jahāñ  dil  ko
mehrbānī  to  kī  na  zāhir  meñ
rakhiye  baare  tū  mehrbāñ  dil  ko
lījiyegā  na  lījiyegā  phir
dekhiye  to  sahī  butāñ  dil  ko
āzmānā  kahīñ  na  saḳhtī  se
dekhiyo  mere  nā-tavāñ  dil  ko
tū  bhī  jī  meñ  use  jagah  diijo
manzilat  thī  'asar'  ke  haañ  dil  ko