vahshat-zada  dil  to  juuñ  sharar  hai
is  ke  ta.iiñ  aap  se  safar  hai
tum  jaur-o-jafā  karo  jo  chāho
in  bātoñ  pe  kab  mujhe  nazar  hai
tū  aap  hī  ḳhair  aap  shar  hai
kuchh  aur  na  naf.a  ne  zarar  hai
ham  be-ḳhabroñ  se  rah  ḳhabar-dār
itnī  to  bhalā  tujhe  ḳhabar  hai
guzrī  jaatī  hai  har  tarah  se
duniyā  guzrān  sar-ba-sar  hai
dil  ke  ḳhatroñ  se  be-ḳhatar  huuñ
sar  se  paañv  talak  ḳhatar  hai
tū  ne  hī  to  yuuñ  niDar  kiyā  hai
bas  ek  mujhe  tirā  hī  Dar  hai
yuuñ  dard  ba-jān-o-dil  samāyā
har  nāla-o-āh  kārgar  hai
yā  hazrat-e-andalīb  baḳhshish
ye  tere  hī  dard  kā  asar  hai
dil  terī  taraf  hai  nit  par  is  ko
ma.alūm  nahīñ  ki  tū  kidhar  hai
yuuñ  aañkh  se  aañkh  meñ  milā  hai
itnā  to  mirā  dil  o  jigar  hai
be-dard  tū  kyūñki  rah  sakegā
ye  hazrat-e-'dard'  kā  'asar'  hai