ḳhisht-e-jāñ  darmiyān  laane  meñ
umr  lagtī  hai  ghar  banāne  meñ
aaj  phir  chāñd  der  se  niklā
tum  ne  phir  der  kar  dī  aane  meñ
itnā  nam-dīda  thā  libās-e-vajūd
dhuup  kam  paḌ  ga.ī  sukhāne  meñ
dekh  kar  tum  ko  hairatī  huuñ  maiñ
kis  qadar  husn  hai  zamāne  meñ
phir  piyāle  meñ  aag  lag  ga.ī  hai
kaun  aayā  sharāb-ḳhāne  meñ
merī  nazroñ  ne  is  ko  nazm  kiyā
vo  magan  thī  ġhazal  sunāne  meñ
muztarib  bhī  huuñ  mutma.in  bhī  huuñ
apnī  ġhazloñ  ko  ḳhud  jalāne  meñ