ġham-e-jahāñ  meñ  ġham-e-yār  zam  na  kar  paayā
hazār  kaam  kiyā  ''maiñ''  ko  ''ham''  na  kar  paayā
mujhe  sarāb  meñ  manzil  dikhā.ī  detī  thī
so  girte  paḌte  bhī  raftār  kam  na  kar  paayā
vo  din  bhī  dekhe  haiñ  maiñ  ne  ki  ek  luqma-e-tar
dahan  tak  aayā  supurd-e-shikam  na  kar  paayā
mujhe  ye  dukh  ki  bichhaḌne  kā  vaqt  thā  hī  nahīñ
use  malāl  ki  iz.hār-e-ġham  na  kar  paayā
na  paas  koh-e-nidā  thā  na  haath  meñ  bandūq
so  lauh-e-vaqt  pe  dukhḌā  raqam  na  kar  paayā
kisī  kā  milnā,  bichhaḌnā  aur  ek  do  bāteñ
tamām  silsila  zeb-e-qalam  na  kar  paayā
ḳhudā  kā  aks  aur  us  par  jamāl-e-yār  kā  aks
faqīr  mar  gayā  paanī  pe  dam  na  kar  paayā