vafāoñ  ke  irāde  vus.at-e-manzil  meñ  rahte  haiñ
pas-o-pesh-e-sitam  pesh-o-pas-e-mahmil  meñ  rahte  haiñ
nuqūsh-e-rah-rav-e-manzil  rah-e-manzil  meñ  rahte  haiñ
chakoroñ  ke  nishān-e-ġham  mah-e-kāmil  meñ  rahte  haiñ
ġham-e-ishq-e-haqīqī  be-asar  ho  jaa.e  nā-mumkin
numāyāñ  laġhzish-o-ra.asha  kaf-e-qātil  meñ  rahte  haiñ
jo  armāñ  lab  pe  aa  ke  mojib-e-qatl-e-ġharībāñ  haiñ
vahī  armān  poshīda  dil-e-qātil  meñ  rahte  haiñ
hazāroñ  kashtiyāñ  us  paar  ho  jaatī  haiñ  sāhil  ke
hamāre  vāste  tūfāñ  chhupe  sāhil  meñ  rahte  haiñ
hamesha  zindagī  kaTtī  rahī  tārīk  rātoñ  meñ
na  jaane  jvār-bhāTe  kyuuñ  hamāre  dil  meñ  rahte  haiñ
zamāna  ke  havādis  se  na  Dar  hargiz  muqābil  aa
jo  ahl-e-dil  haiñ  duniyā  meñ  vahī  mushkil  meñ  rahte  haiñ
mai-e-rañgīñ  surūd-e-shoḳh  raqs-e-dil-rubā  shab  ko
sahar  ko  'soz'  furqat  ke  nishāñ  mahfil  meñ  rahte  haiñ