bārhā  ThiThkā  huuñ  ḳhud  bhī  apnā  saaya  dekh  kar
log  bhī  katrā.e  kyā  kyā  mujh  ko  tanhā  dekh  kar
mujh  ko  is  kā  ġham  nahīñ  sailāb  meñ  ghar  bah  ga.e
muskurāyā  huuñ  maiñ  be-mausam  kī  barkhā  dekh  kar
ret  kī  dīvār  meñ  shāmil  hai  ḳhūn-e-zīst  bhī
ai  havāo  soch  kar  ai  mauj-e-dariyā  dekh  kar
apne  hāthoñ  apnī  āñkheñ  band  karnī  paḌ  ga.iiñ
nighat-e-gul  ke  jilau  meñ  gard-e-sahrā  dekh  kar
mere  chehre  par  ḳharāsheñ  haiñ  lakīreñ  haath  kī
merī  qismat  paḌhne  vaale  merā  chehrā  dekh  kar