Zafar Moradabadi

baDhe kuchh aur kisi iltija se kam na hue

Zafar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1951
baḌhe kuchh aur kisī iltijā se kam na hue
mire harīf tumhārī duā se kam na hue
siyāh raat meñ dil ke muhīb sannāTe
ḳharosh-e-naġhma-e-shola-navā se kam na hue
vatan ko chhoḌ ke hijrat bhī kis ko raas aa.ī
masā.il un ke vahāñ bhī zarā se kam na hue
farāz-e-ḳhalq se apnā lahū bhī barsāyā
ġhubār phir bhī diloñ kī fazā se kam na hue
buland aur laveñ ho ga.iiñ ummīdoñ kī
diye vafā ke tumhārī jafā se kam na hue
bhañvar meñ Duub ke tārīḳh ban ga.e goyā
safīne ishq ke sail-e-balā se kam na hue
hamāre zehn bhaTakte rahe ḳhalāoñ meñ
safar nasīb ke zanjīr-e-pā se kam na hue
sadā bahār ḳhayābān-e-ārzū thā 'zafar'
lahū ke phuul hamārī qabā se kam na hue
Top Urdushayar.com