dil  se  niklī  huī  har  aah  kī  tāsīr  meñ  aa
maañg  le  rab  se  mujhe  aur  mirī  taqdīr  meñ  aa
rābta  mujh  se  dil-o-jāñ  kā  agar  rakhnā  hai
mujh  se  vābasta  kisī  halqa-e-zanjīr  meñ  aa
maiñ  banātā  huuñ  taḳhayyul  ke  qalam  se  paikar
merī  tahrīr  mire  dard  kī  tasvīr  meñ  aa
ye  bhī  mumkin  hai  kasāfat  hī  diloñ  kī  dhul  jaa.e
merī  āñkhoñ  se  jo  bahtā  hai  isī  niir  meñ  aa
Dhal  na  jaa.e  kahīñ  ye  husn-e-suḳhan  ai  'anvar'
dil  ye  kahtā  hai  ki  is  zulf-e-girah-gīr  meñ  aa