hamāre  lahje  meñ  behtar  hai  inkisārī  ho
magar  zabāñ  pe  jo  baat  aa.e  sab  pe  bhārī  ho
kisī  ko  Thes  na  pahuñche  ye  apnī  koshish  hai
magar  lage  jo  kisī  dil  pe  zarb  kaarī  ho
rah-e-hayāt  meñ  shāyad  hī  vo  maqām  aa.e
ki  naġhma-hā-e-junūñ  par  sukūt  taarī  ho
vafā  kā  zikr  agar  aa.e  us  kī  mahfil  meñ
to  baat  jo  bhī  ho  jaisī  ho  bas  hamārī  hai
tamām-umr  guzārī  hai  us  kī  ḳhidmat  meñ
hamāre  naam  kā  sikka  adab  meñ  jaarī  ho
tire  karam  se  hamesha  hī  ḳhush  rahā  'anvar'
mire  ḳhudā  na  kabhī  lab  pe  āh-o-zārī  ho