taḳhayyul  meñ  kabhī  jab  aap  kī  tasvīr  ubhrī  hai
to  kāġhaz  par  qalam  kī  nok  se  tahrīr  hai
mirī  qismat  kī  kashtī  bahr-e-ġham  meñ  Duub  saktī  thī
tirī  taqdīr  se  shāyad  mirī  taqdīr  ubhrī  hai
tirī  yādoñ  kā  sūraj  mustaqil  gardish  meñ  ho  jaise
kahīñ  par  din  nikal  aayā  kahīñ  tanvīr  ubhrī  hai
hinā  ke  phuul  hāthoñ  par  sajā  ke  ye  kahā  us  ne
hathelī  par  tumhāre  pyaar  kī  zanjīr  ubhrī  hai
abhī  tak  niiñd  ke  panchhī  jo  palkoñ  par  nahīñ  utre
mirī  āñkhoñ  meñ  tere  ḳhvāb  kī  ta.abīr  ubhrī  hai
chale  bhī  aao  'anvar'  zindagī  kī  āḳhirī  shab  hai
tumhārī  yaad  hai  aur  hasrat-e-dil-gīr  ubhrī  hai