Diya Jeem

tere aangan mein wafaon ka shajar rakkha tha

Diya Jeem

Multan, Punjab, Pakistan

1973
tere āñgan meñ vafāoñ kā shajar rakkhā thā
apne hoñToñ pe duāoñ kā shajar rakkhā thā
kaise na yaad kī khiḌkī meñ Thahartī kal shab
mere kamre meñ sadāoñ kā shajar rakkhā thā
yād-e-jānāñ ke parindoñ ke sukūñ kī ḳhātir
apne siine meñ vafāoñ kā shajar rakkhā thā
jaane kyā soch ke fitrat se mohabbat kī thī
mere ajdād ne gaañv kā shajar rakkhā thā
merī qismat meñ mohabbat kā sitāra hī nahīñ
merī qismat meñ jafāoñ kā shajar rakkhā thā
vaise to pyaar kī chhāñv se mohabbat thī 'diyā'
par kahīñ dil meñ anāoñ kā shajar rakkhā thā
Top Urdushayar.com