aap  ke  va.ade  kisī  kal  se  bañdhe  rahte  haiñ
chāhne  vaale  usī  pal  se  bañdhe  rahte  haiñ
tañg  aa  jaatī  haiñ  pallū  se  lagī  girheñ  bhī
kaise  rishte  haiñ  jo  malmal  se  bañdhe  rahte  haiñ
sub.h  kī  shabnamī  palkoñ  ko  masalte  hue  haath
ik  na.e  ḳhvāb  kī  koñpal  se  bañdhe  rahte  haiñ
khaTTī  mīThī  sī  koī  baat  laboñ  meñ  le  kar
muñh  ko  Dhāñpe  hue  āñchal  se  bañdhe  rahte  haiñ
sirf  mere  hī  bayābāñ  pe  paḌī  os  nahīñ
ashk  dariyāoñ  ke  bādal  se  bañdhe  rahte  haiñ
shaam  kī  zulfeñ  bikharne  se  ayaañ  hotā  hai
kitne  jugnū  haiñ  jo  kājal  se  bañdhe  rahte  haiñ
zindagī  sone  kī  mohlat  nahīñ  detī  hai  'diyā'
ḳhvāb  ta.abīr  ke  āñchal  se  bañdhe  rahte  haiñ