Diya Jeem

jab bhi ho mujhko thakan tumko dua deti hun

Diya Jeem

Multan, Punjab, Pakistan

1973
jab bhī ho mujh ko thakan tum ko duā detī huuñ
ghar ke kāmoñ meñ magan tum ko duā detī huuñ
aisā lagtā hai mohabbat kā ḳhudā hai us meñ
dekhtī huuñ jo gagan tum ko duā detī huuñ
Dūbte chāñd ke paañv meñ madhur saaz ho jab
dil meñ jhāñke jo kiran tum ko duā detī huuñ
sochtī rahtī huuñ tum ko hī biThā kar dil meñ
aisī jaagī hai lagan tum ko duā detī huuñ
vahshatoñ ne hī jalāyā hai 'diyā' terā badan
chāñd jaisā ho ye man tum ko duā detī huuñ
Top Urdushayar.com