is  tarah  TuuT  kar  girā  paanī
bādaloñ  meñ  nahīñ  bachā  paanī
ghar  banāyā  to  thā  bulandī  par
phir  bhī  āñgan  meñ  bhar  gayā  paanī
laḌ-jhagaḌ  kar  kabhī  to  aag  banā
aur  kabhī  barf  ban  gayā  gayā  paanī
mujh  ko  apne  hī  shahr  kā  yaaro
raas  aayā  nahīñ  havā  paanī
log  dīvāna-vār  TuuT  paḌe
muddatoñ  ba.ad  jab  milā  paanī
haath  thāme  hue  havāoñ  kā
rāste  meñ  hameñ  milā  paanī
ek  bhī  buuñd  khet  ko  na  milī
sab  havāoñ  ne  pī  liyā  paanī
le  ke  chullū  meñ  maiñ  ne  pheñk  diyā
muñh  mirā  dekhtā  rahā  paanī
muddatoñ  se  maiñ  tishna-lab  thā  'zafar'
phir  bhī  sab  ko  pilā  diyā  paanī