har  ek  din  thā  usī  kā  har  ek  raat  us  kī
mire  badan  meñ  rahī  muddatoñ  hayāt  us  kī
mirī  kitāb  meñ  us  kā  bayān  sach  hī  to  hai
ki  mere  zehn  pe  chhā.ī  huī  hai  zaat  us  kī
ajiib  ḳhvāb  dikhāyā  hai  raat  āñkhoñ  ne
ki  mere  naam  se  mansūb  hai  barāt  us  kī
sisak  sisak  ke  koī  ro  rahā  thā  dil  meñ  mire
kisī  ne  jaise  churā  lī  ho  kā.enāt  us  kī
mujhe  nasīb  huā  zabt  kā  ḳhudā  honā
ki  mere  hāthoñ  sajā.ī  ga.ī  barāt  us  kī
mirī  sadā  kā  bhī  koī  na  sunñe  vaalā  milā
vo  chup  thī  aur  sabhī  sun  rahe  the  baat  us  kī