ik  shajar  aisā  mohabbat  kā  lagāyā  jaa.e
jis  kā  ham-sā.e  ke  āñgan  meñ  bhī  saayā  jaa.e
ye  bhī  mumkin  hai  batā  de  vo  koī  kaam  kī  baat
ik  nujūmī  ko  chalo  haath  dikhāyā  jaa.e
dekhnā  ye  hai  ki  kaun  aatā  hai  saaya  ban  kar
dhuup  meñ  baiTh  ke  logoñ  ko  bulāyā  jaa.e
yā  mirī  ziist  ke  āsār  numāyāñ  kar  de
yā  batā  de  ki  tujhe  kaise  bhulāyā  jaa.e
us  ke  ehsān  se  inkār  nahīñ  hai  lekin
naqsh  paanī  pe  'zafar'  kaise  banāyā  jaa.e