na  phal  na  phuul  na  saayā  shajar  meñ  baaqī  hai
magar  vo  sūkhā  huā  peḌ  ghar  meñ  baaqī  hai
gire  makān  ko  sadiyāñ  guzar  ga.iiñ  lekin
par  ab  bhī  ḳhauf  sā  dīvār-o-dar  meñ  baaqī  hai
abhī  hai  der  yahāñ  inqalāb  aane  meñ
baḌā  sukūt  abhī  shor-o-shar  meñ  baaqī  hai
tum  aanā  chāho  palaT  kar  to  aa  bhī  sakte  ho
har  ek  naqsh-e-qadam  rahguzar  meñ  baaqī  hai
yahī  bahut  hai  ki  ham  mahfiloñ  meñ  milte  raheñ
mohabbatoñ  kā  bharam  to  nazar  meñ  baaqī  hai
na  chāhne  meñ  bhī  jī  chāhtā  hai  milne  ko
kamī  sī  koī  to  ḳhair-o-ḳhabar  meñ  baaqī  hai
abhī  se  himmat-e-parvāz  tū  na  chhoḌ  'zafar'
abhī  to  jaan  tire  bāl-o-par  meñ  baaqī  hai