khiḌkiyāñ  kholīñ  to  mujh  ko  aaj  andāza  huā
merā  hī  saaya  thā  vo  dīvār  se  lipTā  huā
aaj  kī  shab  bhī  palaT  aa.e  binā  dastak  diye
so  rahā  thā  ghar  meñ  koī  raat  kā  jaagā  huā
is  galī  ke  moḌ  pe  baiThā  huuñ  kitnī  der  se
jis  tarah  koī  musāfir  huuñ  thakā-hārā  huā
jis  taraf  bhī  ab  uḌā  le  jaa.eñ  mujh  ko  āñdhiyāñ
ek  patta  huuñ  havā  ke  dosh  pe  rakkhā  huā
aur  bhī  kuchh  duur  aa  pahuñche  ham  apne  shahr  se
lag  rahā  thā  rāsta  jaanā  huā  būjhā  huā
so  gayā  hai  mere  siine  se  lagā  kar  apnā  sar
ik  khilaune  ke  liye  bachcha  koī  rotā  huā
be-ta.alluq  sā  paḌā  thā  mausamoñ  ke  sāmne
sabz  patta  koī  apnī  shāḳh  se  TuuTā  huā
dhuñd  meñ  lipTī  huī  thiiñ  apnī  tahrīreñ  sabhī
paḌh  nahīñ  paa.e  'zafar'  ham  haath  kā  likkhā  huā