bajā  thā  zo.am  agar  apne  bāl-o-par  kā  thā
ki  shauq  bhī  to  use  chāñd  ke  safar  kā  thā
kahāñ  se  TuuT  paḌī  beach  meñ  fasīl-e-jahāñ
mo.āmla  to  faqat  mere  bām-o-dar  kā  thā
maiñ  lauT  aayā  dabe  paañv  ghar  ke  āñgan  se
makān  ġhair  kā  darvāza  apne  ghar  kā  thā
ḳhud  apne  saa.e  ko  ghere  meñ  le  ke  baiTh  gayā
ki  ehtimām  mire  āḳhirī  safar  kā  thā
chhupā.e  baiThe  the  kuchh  māh-o-sāl  ham  bhī  vahīñ
jahāñ  pe  tazkira  pyaar  bhar  kā  thā
ham  apne  jazba-o-ehsās  le  ke  pahuñche  the
tamām  khel  vahāñ  haath  ke  hunar  kā  thā
vo  ab  bhī  halqa-e-dām  nazar  meñ  phailā  hai
jo  sabz  saaya  tire  pyaar  ke  shajar  kā  thā
mile  jo  us  kī  sahelī  se  ham  to  raaz  khulā
ḳhatoñ  meñ  zikr  kisī  aur  hī  'zafar'  kā  thā