tumhāre  shahar  meñ  thā  bhī  to  ik  musāfir  maiñ
so  thak  ke  baiTh  gayā  rāste  meñ  āḳhir  maiñ
maiñ  har  lihāz  se  sairāb  thā  ḳhudā  kī  qasam
ye  aur  baat  ki  pyāsā  rahā  ba-zāhir  maiñ
hurūf  milte  hī  āvāz  Duub  jaatī  hai
jo  chup  rahūñ  na  batāo  to  kyā  karūñ  phir  maiñ
kisī  bhī  samt  bhaTaktā  phirūñ  yamīn-o-yasār
talāsh  raah  karūñ  bhī  to  kis  kī  ḳhātir  meñ
mirī  ḳhushī  ko  yahī  rabt  bāhamī  hai  bahut
mirā  muġhannī  hai  vo  aur  us  kā  shā.ir  maiñ
ye  khel  ḳhatm  banā  hār-jīt  ke  hogā
ki  jis  hunar  meñ  vo  yaktā  usī  meñ  māhir  maiñ
hazār  bāñdhā  gayā  mujh  pe  ā.īnoñ  kā  hisār
kisī  pe  apne  alāva  huā  na  zāhir  maiñ