qadam  qadam  pe  ajab  ḳhauf  sā  guzartā  hai
vo  apne  gaañv  meñ  jaate  hue  bhī  Dartā  hai
havā.eñ  chalne  lagī  haiñ  chahār-jānib  se
sambhālnā  ki  har  ik  silsila  bikhartā  hai
kabhī  jhiñjhoḌ  ke  rakh  detā  hai  tamām  badan
kabhī  vo  dil  meñ  dabe  paañv  bhī  utartā  hai
bajā.e  us  ke  ki  mujh  ko  bhī  jagmagā  detā
vo  chāñd  ho  ke  mirī  tīrgī  se  Dartā  hai
utar  rahā  huuñ  maiñ  tanhā.iyoñ  ke  dariyā  meñ
ye  dekhnā  hai  pas-e-āb  kyā  ubhartā  hai
ye  dhuup  jism  jalā  degī  Thiik  hai  lekin
yahāñ  pe  kaun  bhalā  apnī  maut  martā  hai