nazar  nazar  meñ  tamannā  qadam  qadam  pe  gurez
jahāñ  jahāñ  bhī  mile  kohkan  vahīñ  parvez
ghaTā  ghaTā  sā  dhuñdlakā  hai  qasr-o-aivāñ  meñ
nikal  chalo  jahāñ  maidāñ  meñ  raushnī  hai  tez
tire  karam  pe  bhī  andesha-hā-e-dūr-o-darāz
mile  haiñ  jām-o-subū  vo  bhī  zahr  se  labrez
numūd-e-ḳhār-e-muġhīlāñ  hai  bāġhbāñ  ko  pasand
zamīn-e-lāla-o-gul  varna  hai  bahut  zarḳhez
sukūñ  milā  hai  kanīzoñ  ko  ḳhvāb-e-shīrīñ  kā
jo  kohkan  ne  sambhālī  hai  daulat-e-parvez
taġhayyurāt-e-ḳhayālāt  irtiqa-e-hayāt
tasādum-e-nazariyāt  fitna-e-chañgez
guzar  rahe  haiñ  shab-o-roz  is  tarah  'māhir'
na  zindagī  se  mohabbat  na  zindagī  se  gurez