bagūloñ  kī  safeñ  kirnoñ  ke  lashkar  sāmne  aa.e
qadam  uTThe  jidhar  zaḳhmoñ  ke  patthar  sāmne  aa.e
thakan  se  TuuT  kar  jab  ḳhvāb-e-rāhat  kī  tamannā  kī
ridā-e-ġham  liye  kāñToñ  ke  bistar  sāmne  aa.e
darīda  bādbāñ  kamzor  kashtī  raat  tūfānī
dahan  khole  syāhī  ke  samundar  sāmne  aa.e
talāsh-e-āb-e-haivāñ  meñ  jahāñ  mere  qadam  pahuñche
vahāñ  zahrāb  se  labrez  sāġhar  sāmne  aa.e
ġharīb-e-shahr  kis  ke  āstāne  par  sadā  detā
ka.ī  ghar  raah  meñ  dekhe  ka.ī  dar  sāmne  aa.e
mire  ḳhuddār  lab  par  jab  kabhī  lafz-e-anā  aayā
mirī  qīmat  lagāne  kīsa-e-zar  sāmne  aa.e
mizāj  aisā  hai  kuchh  'māhir'  muravvat  aa  hī  jaatī  hai
koī  shātir  agar  ma.asūm  ban  kar  sāmne  aa.e