Iqbal Mahir

rah donon ki wahi hai samna ho jaega

Iqbal Mahir

Allahabad, Uttar pradesh, India

1919

raah donoñ vahī hai sāmnā ho jā.egā

hogā nazroñ tasādum hādisa ho jā.egā

tum se chhūTā bhī agar to zindagī hai ik safar

saath mere aur koī dūsrā ho jā.egā

dil uftād-e-tabī.at ko bhalā rokegā kaun

phir kisī ġham meñ kisī din mubtalā ho jā.egā

qāfile vāloñ meñ tablīġh-e-safar karte raho

kuchh na kuchh to rahbarī haq adā ho jā.egā

us se be-maqsad bhī tum yuuñ agar milte rahe

vo ġhalat-fahmī meñ ik din mubtalā ho jā.egā

kyā ḳhabar thī ik sarā.e ke musāfir tarah

ham-safar hogā vo merā phir judā ho jā.egā

azm-e-manzil hai to 'māhir' be-ḳhatar baḌhte chalo

un chaTTānoñ meñ bhī paidā rāsta ho jā.egā

Top Urdushayar.com