Iqbal Mahir

zist takrar-e-nafas ho jaise

Iqbal Mahir

Allahabad, Uttar pradesh, India

1919
ziist takrār-e-nafas ho jaise
sirf jiine kī havas ho jaise
sehn-e-gulshan meñ bhī jī Dartā hai
sāya-e-gul meñ qafas ho jaise
tark-e-ulfat kī qasam khāte haiñ
dil pe insān kā bas ho jaise
vahī raftār-e-mah-o-sāl hanūz
vaqt ḳhāmosh jaras ho jaise
muntazir yuuñ bhī rahe haiñ 'māhir'
ek pal laakh baras ho jaise
Top Urdushayar.com