tūfāñ  se  qarya  qarya  ek  hue
phir  ret  se  chehra  chehra  ek  hue
chāñd  ubharte  hī  ujlī  kirnoñ  se
uupar  kā  kamra  kamra  ek  hue
almārī  meñ  tasvīreñ  rakhtā  huuñ
ab  bachpan  aur  buḌhāpā  ek  hue
us  kī  galī  ke  moḌ  se  guzre  kyā  the
sab  raahī  rasta  rasta  ek  hue
dīvār  girī  to  andar  sāmne  thā
darvāza  aur  darīcha  ek  hue
jab  vo  paudoñ  ko  paanī  detā  thā
pas-manzar  aur  nazāra  ek  hue
kal  āñkh-micholī  ke  khel  meñ  'aḳhtar'
maiñ  aur  peḌoñ  kā  saaya  ek  hue