jaam  ḳhālī  haiñ  mai-e-nāb  kahāñ  se  lā.ūñ
aap  kā  dīda-e-pur-āb  kahāñ  se  lā.ūñ
kah  sakūñ  un  kī  nigāhoñ  kā  tabassum  jis  ko
ek  aisā  dil-e-be-tāb  kahāñ  se  lā.ūñ
ishq  ḳhud  apnī  jagah  par  hai  mukammal  lekin
husn  kā  jauhar-e-nāyāb  kahāñ  se  lā.ūñ
sāmnā  tum  se  mohabbat  meñ  jo  ho  jaa.e  kabhī
ik  nayā  ālam-e-asbāb  kahāñ  se  lā.ūñ
ka.aba-o-dair  kī  rāhoñ  se  guzar  jaatā  huuñ
mahfil-e-nāz  ke  ādāb  kahāñ  se  lā.ūñ
ek  hī  baar  nasheman  pe  girī  hai  bijlī
bārhā  gulshan-e-shādāb  kahāñ  se  lā.ūñ
jo  kabhī  un  kī  tavajjoh  kā  natīja  thī  'shajī.a'
phir  vahī  kaifiyat-e-ḳhvāb  kahāñ  se  lā.ūñ