har  vo  hañgāma  nā-gahāñ  guzrā
do  diloñ  ke  jo  darmiyāñ  guzrā
tum  kisī  ke  nahīñ  zamāne  meñ
ham  ko  aisā  bhī  ik  gumāñ  guzrā
jo  mohabbat  meñ  ham  pe  guzrā  hai
tum  pe  vo  vaqt  abhī  kahāñ  guzrā
naqsh-e-pā  rāsta  dikhāte  haiñ
kis  kī  manzil  se  kārvāñ  guzrā
dil  kī  be-tābiyoñ  pe  vo  chup  the
merā  hañsnā  unheñ  garāñ  guzrā
kyā  huā  gulistāñ  meñ  kyā  ma.alūm
is  taraf  se  bhī  kuchh  dhuāñ  guzrā
zaḳhm-e-dil  muskurā  rahe  haiñ  'shajī.a'
shāyad  ab  mausam-e-ḳhizāñ  guzrā