sard  aahoñ  ne  mire  zaḳhmoñ  ko  ābād  kiyā
dil  kī  choToñ  ne  jo  rah  rah  ke  tujhe  yaad  kiyā
mehrbānī  mire  sayyād  kī  dekhe  koī
jab  ḳhizāñ  aa.ī  mujhe  qaid  se  āzād  kiyā
mahfil-e-nāz  se  laayā  jo  yahāñ  tak  un  ko
tū  ne  ye  kaam  ajab  ai  dil-e-nāshād  kiyā
mai-kashoñ  ne  use  saaqī  kā  ishāra  samjhā
jhuk  ke  shīshe  ne  jo  sāġhar  se  kuchh  irshād  kiyā
dil-e-betāb  ko  mushkil  se  sambhālā  thā  magar
zabt-e-ġham  ne  mujhe  āmāda-e-fariyād  kiyā
kaam  jab  kuchh  na  banā  ishq  kī  nākāmī  se
dard  ne  aap  ko  sharminda-e-be-dād  kiyā
ḳhud  mujhe  bhī  nahīñ  barbādī  kā  ehsās  'shajī.a'
is  salīqe  se  kisī  ne  mujhe  barbād  kiyā