iz.hār-e-hāl  sun  ke  hamārā  kabhī  kabhī
vo  bhī  hue  haiñ  anjuman-ārā  kabhī  kabhī
maiñ  aur  arz-e-shauq  mirī  kyā  majāl  hai
hotā  hai  us  taraf  se  ishārā  kabhī  kabhī
rāh-e-talab  meñ  aur  koī  rahnumā  nahīñ
detī  haiñ  laġhzisheñ  hī  sahārā  kabhī  kabhī
suntā  huuñ  mujh  se  chhuT  ke  nahīñ  vo  bhī  mutma.in
nazroñ  ko  DhūñDhtā  hai  nazārā  kabhī  kabhī
aayā  shab-e-firāq  vo  hañgām-e-be-kasī
ḳhud  apnā  naam  le  ke  pukārā  kabhī  kabhī
sach  hai  ki  rāhateñ  hī  nahīñ  husn-e-zindagī
ġham  ne  bhī  zindagī  ko  sañvārā  kabhī  kabhī
yuuñ  tai  hue  'shajī.a'  mohabbat  ke  rāste
baḌh  baḌh  ke  manziloñ  ne  pukārā  kabhī  kabhī