kis  ke  naġhme  gūñjte  haiñ  zindagī  ke  saaz  meñ
ik  na.ī  āvāz  shāmil  hai  mirī  āvāz  meñ
mere  ghar  meñ  chhā  rahī  thī  shām-e-ġham  kī  tīrgī
jab  ujālā  ho  rahā  thā  jalva-gāh-e-nāz  meñ
dard-e-dil  meñ  yuuñ  bhī  jab  hotī  nahīñ  koī  kamī
kyā  zarūrī  hai  izāfa  husn  ke  andāz  meñ
maiñ  agar  ḳhāmosh  huuñ  ḳhāmosh  rahne  dījiye
merī  ḳhāmoshī  se  kyā  kyā  hādse  haiñ  raaz  meñ
ham  ne  dekhe  haiñ  kuchh  aise  bhī  asīrān-e-chaman
jin  kī  saarī  umr  guzrī  hasrat-e-parvāz  meñ
hañs  rahā  huuñ  yaad  kar  ke  ishq  kī  nādāniyāñ
sun  rahā  huuñ  dāstāñ  apnī  tire  andāz  meñ
tum  na  hote  is  qadar  rusvā  zamāne  meñ  'shajī.a'
soch  lete  ishq  kā  anjām  agar  āġhāz  meñ