Akhtar Hoshiyarpuri

apna saya bhi na ham-rah safar mein rakhna

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007

apnā saaya bhī na ham-rāh safar meñ rakhnā

puḳhta saḌkeñ faqat rāhguzar meñ rakhnā

ġhair-mahfūz samajh kar na ġhanīm aa jaa.e

dosto! maiñ na sahī ḳhud ko nazar meñ rakhnā

kahīñ aisā na ho maiñ hadd-e-ḳhabar se guzrūñ

koī aalam ho mujhe apnī ḳhabar meñ rakhnā

aa.ina TuuT ke bikhre to ka.ī aks mile

ab hathauḌā kaf-e-ā.ina-gar meñ rakhnā

mashġhale kibr-sinī meñ vahī bachpan vaale

kabhī tasvīreñ kabhī aa.ine ghar meñ rakhnā

bahte dariyāoñ ko sāhil se takte rahnā

aur jalte hue ghar dīda-e-tar meñ rakhnā

koī to aisā ho jo tum ko bachā.e tum se

koī to apnā bahī-ḳhvāh safar meñ rakhnā

koī bhī chiiz na rakhnā ki ta.āqub meñ haiñ log

apnī miTTī magar dast-e-hunar meñ rakhnā

jañgaloñ meñ bhī havā se vahī rishta 'aḳhtar'

shahr meñ bhī yahī saudā mujhe sar meñ rakhnā

Top Urdushayar.com