Akhtar Hoshiyarpuri

shayan-e-zindagi na the hum moatabar na the

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
shāyān-e-zindagī na the ham mo'atabar na the
haañ kam-nazar the itne magar kam-nazar na the
ab ke baras jo phuul khilā kāġhzī hī thā
ab ke to duur duur kahīñ barg-e-tar na the
har phuul ek zaḳhm thā har shāḳh ek laash
goyā ki raah meñ thiiñ salībeñ shajar na the
bādal uThe to ret ke zarre baras paḌe
ham ko bhigo ga.e haiñ vo dāman jo tar na the
kahte the ek jū-e-ravāñ hai chaman chaman
dekhā to bastiyoñ ke kināre bhī tar na the
Takrā ke sar ko apnā lahū aap chāTte
achchhā huā ki dasht meñ dīvār-o-dar na the
dariyā kā siina chiir ke ubhre jo sat.h par
dāman meñ sañg-reze the 'aḳhtar' guhar na the
Top Urdushayar.com