Akhtar Hoshiyarpuri

shayan-e-zindagi na the hum moatabar na the

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007

shāyān-e-zindagī na the ham mo'atabar na the

haañ kam-nazar the itne magar kam-nazar na the

ab ke baras jo phuul khilā kāġhzī thā

ab ke to duur duur kahīñ barg-e-tar na the

har phuul ek zaḳhm thā har shāḳh ek laash

goyā ki raah meñ thiiñ salībeñ shajar na the

bādal uThe to ret ke zarre baras paḌe

ham ko bhigo ga.e haiñ vo dāman jo tar na the

kahte the ek jū-e-ravāñ hai chaman chaman

dekhā to bastiyoñ ke kināre bhī tar na the

Takrā ke sar ko apnā lahū aap chāTte

achchhā huā ki dasht meñ dīvār-o-dar na the

dariyā siina chiir ke ubhre jo sat.h par

dāman meñ sañg-reze the 'aḳhtar' guhar na the

Top Urdushayar.com