jū-e-tāza  kisī  kohsār-e-kuhan  se  aa.e
ye  hunar  yuuñ  nahīñ  aatā  hai  jatan  se  aa.e
log  nāzuk  the  aur  ehsās  ke  vīrāne  tak
vo  guzarte  hue  āñkhoñ  kī  jalan  se  aa.e
shahr-e-gul  kāsa-e-darvesh  banā  baiThā  hai
koī  sho.ala  kisī  jalte  hue  ban  se  aa.e
dard  kī  mauj-e-subuk-sair  meñ  bah  jā.ūñgā
chāhe  vo  jaan  se  chāhe  vo  badan  se  aa.e
sub.h  ke  saath  ajab  lazzat-e-daryūza-garī
rāt-bhar  sochte  rahne  kī  thakan  se  aa.e
aise  zālim  haiñ  mire  dost  ki  sunte  hī  nahīñ
jab  talak  ḳhuun  kī  ḳhushbū  na  suḳhan  se  aa.e